Main Aisa Kyun Hoon???????????
Pehle mein chain se soya karta tha,
ab raaton ko karvatein badalne laga hun main.
pehle mein sabse bahut baatein kiya karta tha,
ab chupchaap rehne laga hun main.
pehle mein mehfilon mein raha karta tha,
ab akele rehne laga hun main .
shaayri aur kavitaaon ka shokh tha mujhe,
par ab khud shaayri likhne laga hun main.
usse mulakat hone ke baad,
jaane kyun uske baare mein hi sochne laga hun main.
pehle mein doston ki nakal kiya karta tha,
ab aaine ke saamne uski nakal karne laga hun main.
zindagi ke safar mein akele chalte chalte achanak,
unke saath chalne ki khwayish karne laga hun main.
Sablog uska naam le lekar mujhe pareshaan kiya karte the,
par ab yeh pareshaani bhi pasand karne laga hun main .
Jo lamhe humne saath bitaye the,
woh lamhe ab roz yaad karne laga hun main.
Woh mujhe jin baaton par hasaya karte the,
ab un baaton ko dohra dohra kar hasne laga hun main.
Sab log mere khoye khoye rehne ki wajah puchte Hai,
par ab yahi sawaal khud se puchne laga hun main .
Bhale hi woh mujhse door hain par,
har ghadi unki aahat mehsoos karne laga hun main .
Pehle woh mujhe begaane lagte the,
Pehle woh mujhe begaane lagte the,
par ab unme woh apnapan mehsoos karne laga hun main.
Pehle main pyaar ki baatein bilkul nahi samajhta tha,
Par ab woh sab samjhne laga hun main .
main apni khud ki haalat pe hairan hun,
main aisa kyun hone laga hun ????????
mujhe aisa lagta hai yaaron,shaayad mein unse pyaar karne laga hun..!
mujhe aisa lagta hai yaaron,shaayad mein unse pyaar karne laga hun..!
